اردو हिंदी
Jab se zindagi hua dil gardish-e-taqdir ka | Shaahi Shayari
jab se zindagi hua dil gardish-e-taqdir ka

Ghazal

Jab se zindagi hua dil gardish-e-taqdir ka

Ambareen Haseeb ambar

;

jab se zindagi hua dil gardish-e-taqdir ka
rose baDh jata hai ek halqa meri zanjir ka

mere hisse mein kahan thin ujlaton ki manzilen
mere qadmon ko sada rasta mila taKHir se

kis liye barbaadiyon ka dil ko hai itna malal
aur kya andaza ho KHamyaza-e-tamir ka

KHun-e-dil jin ki gawahi mein hua nazr-e-wafa
rang to wo uD gae ab kya karun taswir ka

main ne samjha teri chahat ko faqat inamat-e-zist
mujh ko andaza na tha is jurm is tazir ka

ek lab tak hi na pahunchi jo dua thi mustajab
kis qadar charcha hua hai aah-e-be-tasir ka

lafz ki hurmat muqaddam hai dil-o-jaan se mujhe
sach taaruf hai mere har sher har tahrir ka