jab se us ne shahr ko chhoDa har rasta sunsan hua 
apna kya hai sare shahr ka ek jaisa nuqsan hua 
ye dil ye aaseb ki nagri maskan sochun wahmon ka 
soch raha hun is nagri mein tu kab se mehman hua 
sahra ki munh-zor hawaen auron se mansub huin 
muft mein hum aawara Thahre muft mein ghar viran hua 
mere haal pe hairat kaisi dard ke tanha mausam mein 
patthar bhi ro paDte hain insan to phir insan hua 
itni der mein ujDe dil par kitne mahshar bit gae 
jitni der mein tujh ko pa kar khone ka imkan hua 
kal tak jis ke gird tha raqsan ek amboh sitaron ka 
aaj usi ko tanha pa kar main to bahut hairan hua 
us ke zaKHm chhupa kar rakhiye KHud us shaKHs ki nazron se 
us se kaisa shikwa kije wo to abhi nadan hua 
jin ashkon ki phiki lau ko hum bekar samajhte the 
un ashkon se kitna raushan ek tarik makan hua 
yun bhi kam-amez tha 'mohsin' wo is shahr ke logon mein 
lekin mere samne aa kar aur bhi kuchh anjaan hua
        Ghazal
Jab se usne shahr ko chhoDa har rasta sunsan hua
Mohsin Naqvi

