اردو हिंदी
Jab se tumhaari aankhen aalam ko bhaiyan hain | Shaahi Shayari
jab se tumhaari aankhen aalam ko bhaiyan hain

Ghazal

Jab se tumhaari aankhen aalam ko bhaiyan hain

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

jab se tumhaari aankhen aalam ko bhaiyan hain
tab se jahan mein tum ne dhumen machaiyan hain

jaur-o-jafa o mehnat mehr-o-wafa-o-ulfat
tum kyun baDhaiyan hain aur kyun ghaTaiyan hain

mil mil ke ruTh jaana aur ruTh ruTh milna
ye kya KHarabiyan hain kya jag-hansaiyan hain

Tuk Tuk sarak sarak kar aa baiThna baghal mein
kya achpalaiyan hain aur kya DhiTaiyan hain

zulfon ka bil banate aankhen chura ke chalna
kya kam-nigahiyan hain kya kaj-adaiyan hain

aaina ru-ba-ru rakh aur apni saj banana
kya KHud-pasandiyan hain kya KHud-numaiyan hain

aanchal uTha ke tum ne jo Dhank lin ye chhatiyan
kis ko dikhaiyan hain kis se chupaiyan hain

tum mein jo shoKHiyan hain aur chanchalaiyan hain
kin ne sikhaiyan hain kin ne bataiyan hain

'hatim' ke bin ishaara sach kah ye chashm-o-abru
kis se laDaiyan hain kis par chaDhaiyan hain