jab se suna dahan tere ai mah-ru nahin
sab chup hain ab kisi ki koi guftugu nahin
nikle jo qalb se wo meri aarzu nahin
tu mil hi jae gar to main samjhun ki tu nahin
aankhen laDa rahe ho sar-e-bazm ghair se
aur mujh se ye bayan ki hum jang-ju nahin
paida hua hai ek ki zid ek KHalq mein
izzat hai ghair ki tu meri aabru nahin
Tanke na khaen zaKHmi-e-tegh-e-nigah-e-naz
kahne ko ho ki jama-e-tan mein rafu nahin
mashuq kaun sa hai na ho dil mein jis ki yaad
is muKHtasar se bagh mein kis gul ki bu nahin
ye haal teri wada-KHilafi se ho gaya
ab to qasam bhi khane ko mujh mein lahu nahin
piri hai aashiqi ka maza ja chuka 'rashid'
wo hum nahin wo dil nahin wo aarzu nahin
Ghazal
Jab se suna dahan tere ai mah-ru nahin
Rasheed lakhnavi