اردو हिंदी
Jab se mere raqib ka rasta badal gaya | Shaahi Shayari
jab se mere raqib ka rasta badal gaya

Ghazal

Jab se mere raqib ka rasta badal gaya

Bashir Mehtaab

;

jab se mere raqib ka rasta badal gaya
tab se mere nasib ka naqsha badal gaya

shirin tha kitna aap ka andaz-e-guftugu
do-chaar sikke aate hi lahja badal gaya

kis ki zaban se mujhe dekho KHabar mujhe
kaise mere harif ka chehra badal gaya

un ke badalne ka mujhe afsos kuchh nahin
afsos ye hai apna hi saya badal gaya

jab se baDon ki ghar se hukumat chali gai
jannat-numa makan ka naqsha badal gaya

rahon ki KHak chhanta phirta hun aaj tak
rahbar badal gaya kabhi rasta badal gaya

kahta hai us ke jaane se kuchh bhi nahin hua
'mahtab' jabki dil ka wo Dhancha badal gaya