jab se mere dil mein aa kar ishq ka thana hua
hosh-o-sabr-o-aql-o-din kya sab se begana hua
dil hamara KHana-e-allah gar mashhur tha
so buton ke ishq mein ab ye bhi but-KHana hua
qissa-e-farhad-o-majnun raat din paDhte the hum
so to wo mazi paDa ab apna afsana hua
raat din ye soch rahta hai mere dal ke tain
ai KHuda yan se wo ja kar kis ka hum khana hua
kya haqiqat puchhta hai meri tanhai ki tu
jab ki mere pas se pyare tera jaana hua
bhuk pyas aur nind sab jati rahi ai jaan-e-man
balki in logon mein main mashhur diwana hua
shaiKH ji aaya na wade par to ab 'asif' ka yar
tum to KHush hoge tumhaara hi jo farmana hua
Ghazal
Jab se mere dil mein aa kar ishq ka thana hua
Asif-ud-Daula