اردو हिंदी
Jab se mere bagh mein angur ke dane lage | Shaahi Shayari
jab se mere bagh mein angur ke dane lage

Ghazal

Jab se mere bagh mein angur ke dane lage

Jameel Usman

;

jab se mere bagh mein angur ke dane lage
mujh ko duniya mein hi jannat ke maze aane lage

mai-kashon ne hi nahin DhunDa mere ghar ka pata
shaiKH sahab bhi mujhe ab yaad farmane lage

ek surur-o-kaif ka aalam hai tari bin piye
pyale sade pani ke bhi mai ke paimane lage

jagmaga uTThe hain atraf-o-jawanib mein diye
sham-e-mahfil ki pazirai mein parwane lage

mah-ruKHon ki bazm mein shirkat nazar aane lagi
aur tasawwur mein dhanak ke rang lahrane lage

taeron ki chahchahahaT se hua yun dil gudaz
mere ham-mashrab mujhe naghmon pe uksane lage

hum pe ek mashur-kun si kaifiyat tari hui
aur hum is kaifiyat mein jhum kar gane lage

is tilism-e-rang-o-bu ke sehr se nikle hain jab
hum ko aksar din mein bhi tare nazar aane lage