jab se mein ne dekha hai ek KHushnuma chehra
tab se hai nigahon mein us ka chand sa chehra
surat aur sirat mein imtiyaz mushkil hai
hai har ek chehre par ek dusra chehra
ek aur do hi mein zehn tha paraganda
aa gaya kahan se ye ek tisra chehra
ba-wafa samajhta tha jis ko bewafa nikla
rose wo badalta hai ek na ek naya chehra
tha naqab mein ab tak be-hijab jab dekha
fash ho gaya aaKHir us ka bad-numa chehra
dur se samajhte the jis ko chand ka TukDa
jab qarib se dekha tha wo khurdura chehra
meri chashm-e-baatin se kuchh nahin hai poshida
hai zaban-e-dil 'barqi' aaina-numa chehra
Ghazal
Jab se mein ne dekha hai ek KHushnuma chehra
Ahmad Ali Barqi Azmi