jab se kisi se dard ka rishta nahin raha
jina hamara tab se hi jina nahin raha
tere KHayal-o-KHwab hi rahte hain aas-pas
tanhai mein bhi main kabhi tanha nahin raha
aansu bahe hain itne kisi ke firaq mein
aankhon mein ek bhi wasl ka sapna nahin raha
darpesh aa rahe hain wo haalat aaj-kal
apnon ko apnon par hi bharosa nahin raha
nafrat ka zahr phaila hai lekin kisi mein aaj
mil baiTh sochne ka bhi jazba nahin raha
dar-o-madar-e-zindagi jis par tha wo bhi to
jaisa samajhte the use waisa nahin raha
ye nasl-e-nau hai itni mohazzab ki is mein aaj
'darwesh' guftugu ka saliqa nahin raha
Ghazal
Jab se kisi se dard ka rishta nahin raha
darvesh bharti