jab se ek chand ki chahat mein sitara hua hun
shahr-e-shab-zad ki aankhon ka sahaara hua hun
ai mere dard ke dariya ki rawani mujhe dekh
main tere qurb se kaT kaT ke kinara hua hun
zindagi! tujh sa munafiq bhi koi kya hoga
tera shahkar hun aur tera hi mara hua hun
bujh gae jab mere sab KHwab o charagh o mahtab
shahr-e-zulmat ko main tab ja ke gawara hua hun
samne phir mere apne hain so main jaanta hun
jit bhi jaun to ye jang main haara hua hun
zaKHm ginta hun shab-e-hijr mein aur sochta hun
main to apna bhi na tha kaise tumhaara hua hun
main payambar hun na ho sakta hun phir bhi 'ahmad'
aisa lagta hai sar-e-KHak utara hua hun
Ghazal
Jab se ek chand ki chahat mein sitara hua hun
Ahmad Fareed