اردو हिंदी
Jab se hai wo raunaq-e-mahfil aankhon mein | Shaahi Shayari
jab se hai wo raunaq-e-mahfil aankhon mein

Ghazal

Jab se hai wo raunaq-e-mahfil aankhon mein

Azeem Murtaza

;

jab se hai wo raunaq-e-mahfil aankhon mein
jaan labon par rahti hai dil aankhon mein

sukh rahi hai ju-e-girya-e-gard-nishan
chubhne lagi hai ab KHak-e-dil aankhon mein

hijr ki raaten arsa-e-be-KHwabi ka safar
kaT raha hun manzil manzil aankhon mein

KHun ki lahren moti moti palkon par
nikla dil-dariya ka sahil aankhon mein

dekh raha hun guzre waqt ki taswiren
utre hain yaadon ke mahmil aankhon mein