jab se hai baad-e-KHizan sarsar-e-gham aawara
KHushk patton ki tarah rahte hain hum aawara
kuchh to hai baat ki hai mausam-e-gul ke ba-wasf
bu-e-gul bu-e-saba bu-e-sanam aawara
kunj-dar-kunj sitam-KHurda ghazalon ko abhi
ta-ba-kai rakkhegi ye lazzat-e-ram aawara
hajla-e-sang-e-sar-e-rah mein na jaane kitne
ru-numai ko hain betab sanam aawara
hai gham-e-zist ka ya soz-e-mohabbat ka sila
aariz-e-gul pe jo hai gauhar-e-nam aawara
rang-e-ariz ko tamazat se bachane ke liye
ruKH pe lahraya hua abr-e-karam aawara
Ghazal
Jab se hai baad-e-KHizan sarsar-e-gham aawara
Adeeb Suhail