jab se gaya hai wo mera iman-e-zindagi
kafir ho jis ke dil mein ho arman-e-zindagi
hasrat visal ki hai gulu-gir hijr mein
warna abhi main phaDun gareban-e-zindagi
marta jo hijr mein to na milta main yar se
mujh par 'huzur' bas ki hai ehsan-e-zindagi
Ghazal
Jab se gaya hai wo mera iman-e-zindagi
Gulam Yahya Huzur Azimabadi

