jab se dil mein tere baKHshe hue gham Thahre hain
mahram aur bhi apne liye hum Thahre hain
gham ki har daur mein Thahrae gae hasil-e-zist
aur is daur mein hum sahab-e-gham Thahre hain
hum teri rah mein uTThe hain baDe azm ke sath
gardish-e-dahr bhi Thahri hai jo hum Thahre hain
shauq-e-awargi-o-shauq talab ke qurban
uTh gae hain to kahan apne qadam Thahre hain
main tasawwur se kabhi jin ke laraz uThta tha
wahi haalat mohabbat ka bharam Thahre hain
maghfirat hi sahi mai-KHana-o-mai ke mani
ki yahan aaj safiran-e-haram Thahre hain
sirf aankhon hi mein kam ruk na sake meri 'rais'
mere aansu kisi daman mein bhi kam Thahre hain

Ghazal
Jab se dil mein tere baKHshe hue gham Thahre hain
Raees Rampuri