اردو हिंदी
Jab se dekha hai bana gosh-e-qamar mein tinka | Shaahi Shayari
jab se dekha hai bana gosh-e-qamar mein tinka

Ghazal

Jab se dekha hai bana gosh-e-qamar mein tinka

Miyan dad Khan Sayyah

;

jab se dekha hai bana gosh-e-qamar mein tinka
phans ki tarah khaTakta hai jigar mein tinka

neza-bazi pe hamein apni na dhamka ai turk
hum samajhte hain ise apni nazar mein tinka

aatish nala-e-bulbul ye chaman mein bhaDki
na bacha nam ko sayyaad ke ghar mein tinka

KHar-e-mizhgan ko nazar bhar ke na dekha main ne
paD gaya uD ke mere dida-e-tar mein tinka

sun ke aamad teri aaankhon se uTha lete hain
dekhte hain jo paDa rahguzar mein tinka

gird us bahr-e-safa ke main phira karta hun
rahta hai gardi mein jis tarah bhanwar mein tinka

aah-e-sozan ne jalae tere jangal 'sayyah'
nam ko bhi na raha ek shajar mein tinka