اردو हिंदी
Jab se dariya mein hai tughyani bahut | Shaahi Shayari
jab se dariya mein hai tughyani bahut

Ghazal

Jab se dariya mein hai tughyani bahut

Abid Wadood

;

jab se dariya mein hai tughyani bahut
par jaane mein hai aasani bahut

koi manzar bhi nahin achchha laga
ab ke aaankhon mein hai virani bahut

apni qimat to nahin lekin yahan
aise gauhar ki hai arzani bahut

khet hain banjar to sahra be-numu
warna dariyaon mein hai pani bahut

us ke chehre par meri aankhen sajin
mere chehre par thi hairani bahut

kya KHulus-o-mehr ki baaten karen
zindagi mein hai pashemani bahut

har kisi ko ilm hai 'abid-wadud'
baaten us ki jaani-pahchani bahut