jab se bulbul tu ne do tinke liye
TuTti hain bijliyan in ke liye
hai jawani KHud jawani ka singar
sadgi gahna hai is sin ke liye
kaun virane mein dekhega bahaar
phul jangal mein khile kin ke liye
sari duniya ke hain wo mere siwa
main ne duniya chhoD di jin ke liye
baghban kaliyan hon halke rang ki
bhejni hai ek kam-sin ke liye
sab hasin hain zahidon ko na-pasand
ab koi hur aaegi in ke liye
wasl ka din aur itna muKHtasar
din gine jate the is din ke liye
subh ka sona jo hath aata 'amir'
bhejte tohfa moazzin ke liye
Ghazal
Jab se bulbul tu ne do tinke liye
Ameer Minai