اردو हिंदी
Jab se alfaz ke jangal mein ghira hai koi | Shaahi Shayari
jab se alfaz ke jangal mein ghira hai koi

Ghazal

Jab se alfaz ke jangal mein ghira hai koi

Abid Almi

;

jab se alfaz ke jangal mein ghira hai koi
puchhta phirta hai meri bhi sada hai koi

rah ki dhul mein Duba hua aa pahunchega
apne mazi ka pata lene gaya hai koi

raat ke sae mein ek ujDe hue aangan mein
be-sada ThunTH ke manind khaDa hai koi

jab bhi ghabra ke tujhe deta hun ek aadh sada
log kahte hain ki is ghar mein bala hai koi

main wo chiTThi hun miTa jata hai jis ka har harf
paDh ke ek bar mujhe bhul gaya hai koi

aasman raat daraKHton ke qarib aaya tha
puchhta phirta tha kya un mein chhupa hai koi

tum yunhi waqt ganwane pe tule ho 'abid'
kabhi pani pe bhala naqsh bana hai koi