jab sambhal kar qadam uThata hun
koi Thokar zarur khata hun
aap se jab nazar milata hun
kaun hun kya hun bhul jata hun
mujh pe ai rang Dalne walo
main to rangon ka janmdata hun
waqt hai mubtala-e-KHwab-e-adam
Thokaren mar kar jagata hun
zehn aisa hai kuchh paraganda
yaad karta hun bhul jata hun
DhunDhte phir rahe hain donon jahan
dekhiye kis ke hath aata hun
ab nahin hai karahne ki sakat
choT khata hun muskuraata hun

Ghazal
Jab sambhal kar qadam uThata hun
Raees Niyazi