jab samaat hi na ho us ki to hai bekar sharh
kya karun dilbar main tujh se apna haal-e-zar sharh
dam-ba-KHud hun kuchh nahin kahta hun roab-e-husn se
chup khaDa hun haal apna karte hain aghyar sharh
dil mein hai us rashk-e-yusuf ki KHaridari ka shauq
mere raaz-e-ishq ki ab hai sar-e-bazar sharh
nosh-e-daru-e-shifa samjhe jo marg-e-ishq ko
kya masiha se kare dard apna wo bimar sharh
wasf chashm-e-yar ka sun kar mariz-e-ishq ne
kyun kiya tha main ne pesh-e-nargis-e-bimar sharh
mah-e-kanan shefta us par ho bhar kar aah-e-sard
husn-e-jaanan ki karun jo garmi-e-bazar sharh
kya zaban se wo kahe kya ho dawa ka KHwast-gar
dard-e-dil karti hai tujh se jis ki shakl-e-zar sharh
na-tawani se mujhe yara-e-goyai nahin
haal soz-e-dil karegi aah-e-atish-bar sharh
ghair mumkin hai tera aghyar se ijra-e-kar
hajat-e-dil 'barq' kar chal kar tu pesh-e-yar sharh
Ghazal
Jab samaat hi na ho uski to hai bekar sharh
Shyam Sunder Lal Barq