jab sajile KHiram karte hain 
har taraf qatl-e-am karte hain 
mukh dikha chhab bana libas sanwar 
aashiqon ko ghulam karte hain 
ye chakore mil us sirijan sun 
raat din apna kaam karte hain 
yar ko aashiqan-e-sahab-fan 
ek dekhe mein ram karte hain 
gardish-e-chashm sun sirijan sab 
bazm mein kar-e-jam karte hain 
ye nahin nek taur KHuban ke 
aashnai ko aam karte hain 
ji ko karte hain aashiqan taslim 
jab wo hans kar salam karte hain 
murgh-e-dil ke shikar karne kun 
zulf o kakul ko dam karte hain 
shoKH mera butan mein jab jawe 
us ko apna imam karte hain 
KHub-ru aashna hain 'faez' ke 
mil sabi ram ram karte hain
        Ghazal
Jab sajile KHiram karte hain
Faez Dehlvi

