jab safar ko main ne thama tha ye andha rasta
aaj rota hai magar qadmon se lipTa rasta
tairti phirti hain chaaron samt rangin titliyan
TeDha TeDha uncha nicha gila kachcha rasta
kaun sunta tha kisi ki koi kya kahta wahan
mere kandhe pe safar tha main ne pakDa rasta
wo jo guzra tha yahan se kya pata lauTe kabhi
kya KHala mein takta rahta hai tanha rasta
mujh ko jalti aag milti tum ko ThanDa aab-e-ju
apni apni justuju hai apna apna rasta
resha resha zaKHm tha lauTa safar se jab 'shamim'
aur mujh se bhi ziyaada hanpta tha rasta
Ghazal
Jab safar ko maine thama tha ye andha rasta
Syed Ahmed Shameem