اردو हिंदी
Jab saba aai idhar zikr-e-bahaar aa hi gaya | Shaahi Shayari
jab saba aai idhar zikr-e-bahaar aa hi gaya

Ghazal

Jab saba aai idhar zikr-e-bahaar aa hi gaya

Kaleem Aajiz

;

jab saba aai idhar zikr-e-bahaar aa hi gaya
yaad hum ko inqalab-e-rozgar aa hi gaya

kis liye ab jabr ki taklif farmate hain aap
banda-parwar main to zer-e-iKHtiyar aa hi gaya

lala-o-gul par jo guzri hai guzarne dijiye
aap ko to mehrban lutf-e-bahaar aa hi gaya

dahr mein rasm-e-wafa badnam ho kar hi rahi
hum bachate hi rahe daman ghubar aa hi gaya

hans ke bole ab tujhe zanjir ki hajat nahin
un ko meri bebasi ka e'tibar aa hi gaya

shikwa-sanji apni aadat mein nahin daKHil magar
dil dukha to lab pe harf-e-nagawar aa hi gaya