jab saz ki lai badal gai thi
wo raqs ki kaun si ghaDi thi
ab yaad nahin ki zindagi mein
main aaKHiri bar kab hansi thi
jab kuchh bhi na tha yahan pe ma-qabl
duniya kis chiz se bani thi
muTThi mein to rang the hazaron
bas hath se ret bah rahi thi
hai aks to aaina kahan hai
tamsil ye kis jahan ki thi
hum kis ki zaban bolte hain
gar zehn mein baat dusri thi
tanha hai agar azal se insan
ye bazm-e-kalam kyun saji thi
tha aag hi gar mera muqaddar
kyun KHak mein phir shifa rakhi thi
kyun moD badal gai kahani
pahle se agar likhi hui thi
Ghazal
Jab saz ki lai badal gai thi
Parveen Shakir