jab samne ki baat hi uljhi hui mile
phir dur dekhti hui aankhon se bhi ho kya
hathon se chhu ke pahle ujala karen talash
jab raushni na ho to nigahon se bhi ho kya
hairat-zada se rahte hain apne madar par
us ke alawa chand sitaron se bhi ho kya
pagal na ho to aur ye pani bhi kya kare
wahshi na hon to aur hawaon se bhi ho kya
jab dekhne lage koi chizon ke us taraf
aankhen bhi teri kya karen baaton se bhi ho kya
yun to mujhe bhi shikwa hai un se magar 'malal'
haalat is tarah ke hain logon se bhi ho kya
Ghazal
Jab samne ki baat hi uljhi hui mile
Sagheer Malal