jab ruKH-e-husn se naqab uTha
ban ke har zarra aaftab uTha
Dubi jati hai zabt ki kashti
dil mein tufan-e-iztirab uTha
marne wale fana bhi parda hai
uTh sake gar to ye hijab uTha
shahid-e-mai ki KHalwaton mein pahunch
parda-e-nashsha-e-sharab uTha
hum to aankhon ka nur kho baiThe
un ke chehre se kya naqab uTha
aalam-e-husn-e-sadgi tauba
ishq kha kha ke pech-o-tab uTha
hosh naqs-e-KHudi hai ai 'ehsan'
la uTha shisha-e-sharab uTha
Ghazal
Jab ruKH-e-husn se naqab uTha
Ehsan Danish