jab rakhe panw us ne pani mein
aa gai mauj bhi rawani mein
sare mazmun the balaghat ke
ek kamsin ki be-zabani mein
ek naya zaiqa janam lega
pyas dekho mila ke pani mein
gham na dekha koi buDhape ka
mar gae shukr hai jawani mein
aaj ruThi hai sanwli mujh se
kah diya jaane kya rawani mein

Ghazal
Jab rakhe panw usne pani mein
Noman Farooq