اردو हिंदी
Jab raat gae teri yaad aai sau tarah se ji ko bahlaya | Shaahi Shayari
jab raat gae teri yaad aai sau tarah se ji ko bahlaya

Ghazal

Jab raat gae teri yaad aai sau tarah se ji ko bahlaya

Nasir Kazmi

;

jab raat gae teri yaad aai sau tarah se ji ko bahlaya
kabhi apne hi dil se baaten kin kabhi teri yaad ko samjhaya

yunhi waqt ganwaya moti sa yunhi umr ganwai sona si
sach kahte ho tum ham-suKHano is ishq mein hum ne kya paya

jab pahle-pahal tujhe dekha tha dil kitne zor se dhaDka tha
wo lahr na phir dil mein jagi wo waqt na lauT ke phir aaya

phir aaj tere darwaze par baDi der ke baad gaya tha magar
ek baat achanak yaad aai main bahar hi se lauT aaya