jab qaum par aafat aai ho jab mulk paDa ho mushkil mein
insan wo kya mar miTne ka ehsas na ho jis ke dil mein
hansne ka tariqa paida kar rone ka saliqa paida kar
hans phul ki surat gulshan mein ro shama ki surat mahfil mein
qatil ke dil ki kamzori ne sara kaam bigaD diya
hum tishna-e-shauq-e-shahadat the KHanjar bhi tha dast-e-qatil mein
mahfil ki mahfil behis hai tari hai jumud insanon par
uTh soz ka aalam barpa kar aur aag laga de har dil mein
har qatra dariya banne ko betab dikhai deta hai
har mauj-e-rawan bechain nazar aati hai firaq-e-sahil mein
'sarshaar' wo kyunkar kahte hain hum qaum o watan ke KHadim hain
Dale na gae jo zindan mein jakDe na gae jo salasil mein
Ghazal
Jab qaum par aafat aai ho jab mulk paDa ho mushkil mein
Jaimini Sarshar