jab qafas mein mujh ko yaad-e-ashiyan aa jae hai
samne aankhon ke ek bijli si lahra jae hai
dil mera wo KHana-e-viran hai jal bujhne pe bhi
rakh se jis ki dhuan ta-der uThta jae hai
tum to Thukra kar guzar jao tumhein Tokega kaun
main paDa hun rah mein to kya tumhaara jae hai
chashm-e-tar hai is taraf aur us tarf abr-e-bahaar
dekhna hai aaj kis se kitna roya jae hai
main to bas ye jaanta hun is ko hona hai KHarab
kya KHabar us ki mujhe dil aae hai ya jae hai
mera pindar-e-KHudai us ghaDi dekhe koi
jab mujhe banda tera kah kar pukara jae hai
ab wo kya aaenge tum bhi aankh jhapka lo 'niyaz'
subh ka tara bhi ab to jhilmilata jae hai
Ghazal
Jab qafas mein mujhko yaad-e-ashiyan aa jae hai
Niyaz Fatehpuri