jab pyar nahin hai to bhula kyun nahin dete
KHat kis liye rakkhe hain jala kyun nahin dete
kis waste likkha hai hatheli pe mera nam
main harf-e-ghalat hun to miTa kyun nahin dete
lillah shab-o-roz ki uljhan se nikalo
tum mere nahin ho to bata kyun nahin dete
rah rah ke na taDpao ai be-dard masiha
hathon se mujhe zahr pila kyun nahin dete
jab us ki wafaon pe yaqin tum ko nahin hai
'hasrat' ko nigahon se gira kyun nahin dete
Ghazal
Jab pyar nahin hai to bhula kyun nahin dete
Hasrat Jaipuri