اردو हिंदी
Jab piyara gila sunata hai | Shaahi Shayari
jab piyara gila sunata hai

Ghazal

Jab piyara gila sunata hai

Alimullah

;

jab piyara gila sunata hai
ishq taza badan mein aata hai

hosh jata hai sar sun sab yak bar
jab ghunghaT khol mukh dikhata hai

tab adu dekh kar mujhe mera
mar ke misl pech khata hai

KHak hota hai balki jal us waqt
mujh ko KHalwat mein jab bulata hai

mujh ko le ja pyas apas ghar mein
baada-e-wasl phir pilata hai

kar majazi mein fan haqiqat ka
hasidan ke dilan jalata hai

sher tera ajab 'alimullah'
shoala-e-ishq ko chatata hai