jab palak jhapke to manzar ka waraq ban jae hai
dil mein kuchh aae nazar bahar nazar kuchh aae hai
chup ka sidha peD hai bolo to jhukta jae hai
hae chhune ki tamanna jo mujhe taDpae hai
sardiyon ki lambi raaten oDh kar so jae hai
din ke suraj ke KHayalon hi se dil garmae hai
yaad ki KHushbu se apne jism ko mahkae hai
wo pari-paikar jo mere nam se sharmae hai
har ghaDi har aan bijli ki tarah lahrae hai
meri kachchi koThari mein jhank kar rah jae hai
zat ke ghaaron mein chhup kar hi koi bahlae hai
raushni mein jism ki KHwahish mujhe le aae hai
chuDiyon ki bansari par rag 'majid' gae hai
ghup andhere mein sada us ki badan ban jae hai

Ghazal
Jab palak jhapke to manzar ka waraq ban jae hai
Majid-ul-Baqri