jab panw mila tha to raste bhi nazar aate
tum tak na sahi lekin ta-hadd-e-nazar jate
tum aankh nahin rakhte aur dekhte ho sab kuchh
hum aankh bhi rakhte hain aur dekh nahin pate
har rah to manzil tak le jati nahin sab ko
kuchh der idhar chalte kuchh der udhar jate
parda wo uThaya to parda hi nazar aaya
jab kuchh na nazar aaya to kyun na Thahar jate
ye ishq nahin ye hai kam-bini o kam-aqali
ek lutf-e-tabassum par itna nahin itraate
jo ho na 'jamil' apna auron ka wo kya hoga
kya khaoge gham mera tum apna hi gham khate
Ghazal
Jab panw mila tha to raste bhi nazar aate
Jameel Mazhari