jab os bund bund giri saeban se
KHushbu si ek uDi mere kachche makan se
tu sahilon pe jis ka nishan DhunDhta phira
rishta to us ne joD liya baadban se
na-qadri-e-hunar ki mujhe tab hi na thi
main ne KHud apni jins uTha li dukan se
thi us ki hi lahu ki sada jo palaT gai
us ne to jhank kar bhi na dekha makan se
bikhri hui thin chaaron taraf na-rasaiyan
wo paTne chala tha KHala ko uDan se
kya kya huin qubul duaen us ek shab
phir ek phul bhi na gira aasman se
garmi mein Tin ki chhat ne jalaya kuchh aur bhi
jaDe mein barf sar pe giri saeban se
rezon mein baT gaya hun main 'shahin' har taraf
pahchan le mujhe mere bikhre nishan se
Ghazal
Jab os bund bund giri saeban se
Wali Alam Shaheen