jab nabi-sahib mein koh-o-dasht se aai basant
kar ke mujra shah-e-mardan ki taraf dhai basant
KHwaja-qutbuddin mein phir gaDwa bana kar le gai
yani un ki nazr ko sau phul gul lai basant
wan se phir hazrat-nizamuddin ki KHidmat mein chali
turbat-e-KHusraw pe phir ho ke khaDe gai basant
su-e-hazrat turkaman aai jo kar us ka tawaf
ho gai wohin bayabani-o-sahrai basant
wohin phir darbar-e-shah-e-hind mein rakh kar qadam
nachne gane lagi hans hans ba-zebai basant
phir janab aasif-e-dauran mein ba-sad aish-o-naz
ho gai aa kar ke masruf-e-jabin-sai basant
'mushafi' ab ek ghazal likh tu ghazal ki tarah se
ta kare aalam ka taraj-e-shakebai basant
Ghazal
Jab nabi-sahib mein koh-o-dasht se aai basant
Mushafi Ghulam Hamdani

