jab na tab suniye to karta hai wo iqrar baghair
guftugu hum se use par nahin inkar baghair
bazm mein raat bahut sada-o-pur-fan the wale
garmi-e-bazm kahan us but-e-ayyar baghair
dekh bimar ko tere ye tabibon ne kaha
ho chuki us ko shifa sharbat-e-didar baghair
jaan par aa bani hamdam meri KHamoshi se
baat kuchh ban nahin aati hai ab izhaar baghair
jis ki KHatir ke liye yar sab aghyar hue
kyun ki 'diwana' bhala rahiye ab us yar baghair
Ghazal
Jab na tab suniye to karta hai wo iqrar baghair
Roy Sarb Sukh Diwana