اردو हिंदी
Jab na shisha hai na saghar hai na paimana mera | Shaahi Shayari
jab na shisha hai na saghar hai na paimana mera

Ghazal

Jab na shisha hai na saghar hai na paimana mera

Raghunath Sahai

;

jab na shisha hai na saghar hai na paimana mera
kis tarah kah dun ye mai-KHana hai mai-KHana mera

chhup sakega bagh mein kyunkar meri wahshat ka haal
patte patte ki zaban kahti hai afsana mera

hain makin ab bhi dil-e-mahzun mein lakhon hasraten
KHair se hai aaj bhi aabaad virana mera

ho bhala kyunkar ayan meri haqiqat aap par
aap aksar ghair se sunte hain afsana mera

saqiya ho is taraf bhi ek inayat ki nazar
tak raha hai tujh ko kis hasrat se paimana mera

main tera mamnun hun ai shoala-e-barq-e-tapan
tere dam se ho gaya pur-nur kashana mera

doston ki baat kya hai dost to phir dost the
dushmanon se bhi raha 'ummid' yarana mera