اردو हिंदी
Jab munDeron pe parindon ki kumak jari thi | Shaahi Shayari
jab munDeron pe parindon ki kumak jari thi

Ghazal

Jab munDeron pe parindon ki kumak jari thi

Hammad Niyazi

;

jab munDeron pe parindon ki kumak jari thi
lafz the lafzon mein ehsas ki sardari thi

ab jo lauTa hun to pahchan nahin hoti hai
kahan diwar thi diwar mein almari thi

wo haweli bhi saheli thi paheli jaisi
jis ki inTon mein mere KHwab the KHuddari thi

aaKHiri bar main kab us se mila yaad nahin
bas yahi yaad hai ek sham bahut bhaari thi

puchhta phirta hun galiyon mein koi hai koi hai
ye wo galiyan hain jahan log the sarshaari thi

peD the chand makanon mein zamanon jaise
jin ki chhanw mein meri ruh ki lu jari thi

kya bhale din the hamein khel tha hansna rona
sans lena bhi hamein jaise adakari thi

bas koi KHwab tha aur KHwab ke pas-manzar mein
bagh tha phul the KHushbu ki numudari thi

hum ne dekha tha use ujle dinon mein 'hammad'
jin dinon nind thi aur nind mein bedari thi