اردو हिंदी
Jab muKhaalif mera raaz-dan ho gaya | Shaahi Shayari
jab muKhaalif mera raaz-dan ho gaya

Ghazal

Jab muKhaalif mera raaz-dan ho gaya

Akhtar Shahjahanpuri

;

jab muKHalif mera raaz-dan ho gaya
raaz-e-sar-basta sab par ayan ho gaya

mujh ko ehsas-e-sharmindagi hai bahut
qissa-e-dard kaise bayan ho gaya

kitni hasrat se takti rahi har KHushi
aur daman mera dhajjiyan ho gaya

masala ban gai fikr tafhim ka
lafz ka husn bhi raegan ho gaya

log ye soch ke hi pareshan hain
main zamin tha to kyun aasman ho gaya

shikwa-sanjaan-e-tanhai hain sab ke sab
mera gham bhi gham-e-do-jahan ho gaya

peD kya mere aangan ka 'aKHtar' gira
log samjhe ki main be-aman ho gaya