اردو हिंदी
Jab mohabbat ka kisi shai pe asar ho jae | Shaahi Shayari
jab mohabbat ka kisi shai pe asar ho jae

Ghazal

Jab mohabbat ka kisi shai pe asar ho jae

darvesh bharti

;

jab mohabbat ka kisi shai pe asar ho jae
ek viran makan bolta ghar ho jae

main hun suraj-mukhi tu mera hai dilbar suraj
tu jidhar jae mera ruKH bhi udhar ho jae

ranj-o-gham aish-o-KHushi jis ke liye ek hi hon
umr us shaKHs ki shahon si basar ho jae

jo bhi dukh dard musibat ka piye wish hans kar
kyun na suqraat ki surat wo amar ho jae

lauT aao jo kabhi ram ki surat tum to
man ka sunsan awadh dip nagar ho jae

kha ke patthar bhi jo muskan bikhere har-su
bagh-e-alam ka wo phaldar shajar ho jae

hum ne jaana hai yahi aa ke jahan mein 'darwesh'
hona chahe jo na hargiz wo bashar ho jae