jab meri zist ke unwan nae matlub hue
mere aamal mein arman bhi mahsus hue
un mein sab apna pata apna nishan DhunDte hain
jitne afsane tere nam se mansub hue
sab dikhate hain tera aks meri aankhon mein
hum zamane ko isi taur se mahbub hue
jin ko iman tha nazron ki masihai par
dil ki basti se jo guzre baDe mahjub hue
qatre qatre se lahu ke ise sarsabz kiya
aur diwane isi shaKH pe maslub hue
Ghazal
Jab meri zist ke unwan nae matlub hue
Anvar Moazzam