jab meri aaine se banti hai 
shakl har zawiye se banti hai 
aadmi sabr se nikharta hai 
zindagi hausle se banti hai 
sath hai mushkilon mein donon ka 
dasht ki aable se banti hai 
dil-jala dard ko samajhta hai 
dard ki dil jale se banti hai 
DhunD kar be-shumar baiThe ho 
kya ghazal qafiye se banti hai
        Ghazal
Jab meri aaine se banti hai
Fakhr Abbas

