jab mili un se nazar miTne ka saman ho gaya
ai qaza KHush ho tera ab kaam aasan ho gaya
dilruba malum hoti hain mujhe tanhaiyan
naqsh har shai ka mujhe taswir-e-jaanan ho gaya
meri KHwahish thi ki luTun lazzat-e-duniya magar
wusat-e-hirs-o-hawa se tang daman ho gaya
baDh rahi hain qimaten har chiz ki bazar mein
ek aisa gham hai jo ab aur arzan ho gaya
shomi-e-qismat kahen ya KHaslat-e-insan ise
aa ke qabiz bazm-e-hasti par ye mehman ho gaya
shoala-zan hai dil yahan to dagh-ha-e-ranj se
aur wo kahte hain KHush ho kar charaghan ho gaya
dekh kar chaaron taraf aasar-e-gham aah-o-fughan
kya karun 'maghmum dil mera hirasan ho gaya
Ghazal
Jab mili un se nazar miTne ka saman ho gaya
Gorbachan Singh Dayal Maghmum