jab mere ghar ke pas kahin bhi nagar na tha
to is tarah ka rah mein luTne ka Dar na tha
jangal mein jangalon ki tarah ka safar na tha
surat mein aadmi ki koi jaanwar na tha
aansu sa gir ke aankh se main sochta raha
itna to apne-ap se main be-KHabar na tha
ek bar KHud ko ghaur se dekha to ye mila
main sirf ek dhaD tha mere dhaD pe sar na tha
honTon pe aai aur 'kunwar' kanpti rahi
ek baat jis ka dil pe koi bhi asar na tha
Ghazal
Jab mere ghar ke pas kahin bhi nagar na tha
Kunwar Bechain