jab mere dil jigar ki tilismen banaiyan
labrez-e-ab-e-ashk kin aankhon ki khaiyan
dast-e-hina se phuT baha aaKHirash ko KHun
kin panja kar ke tujh se jo zor-azmaiyan
us aankh se jab aankh milai to bahr ne
chashm-e-sadaf mein mauj ki pherin salaiyan
kis fitna-e-zamin se ye rahta hai shab do-chaar
uDtin hain aasman ke jo munh par hawaiyan
us shama-ru ne apne shahidon ki jun patang
gaDne na din zamin mein lashen jalaiyan
us qand-lab ki did se in putliyon ko mor
khawenge zer-e-KHak samajh kar KHataiyan
taDpe bahut pa jaanib-e-sayyaad aaKHirash
qullab-e-ishq ki kashishen hum ko laiyan
tab suraten jo pesh-e-nazar thin so misl-e-ashk
yun gum huin zamin mein ki DhunDhe na paiyan
pa kar shifa banafsha-e-KHat se wo ankhDiyan
sehhat ke din bhi KHun se mere nahaiyan
mana na turk-e-chashm ne aaKHir kiya hi qatl
har-chand dil ne din tere lab ki duhaiyan
dekhen 'baqa' ki hijr ke aae pe kya bane
apne to hosh uD gae sun sun adaiyan
Ghazal
Jab mere dil jigar ki tilisMein banaiyan
Baqaullah u0027Baqau0027