jab main roya hun wo roe hain ye ulfat mere sath
muddaton barsa kiya hai abr-e-rahmat mere sath
jaan jae yar hai dil ko rahega pas-e-ishq
qabr mein jaenge tere raaz-e-ulfat mere sath
deti hai targhib nale ki ki har aazurda-dost
dushmani karti hai ab meri mohabbat mere sath
main to hun dil-dada-e-ulfat kaho main kya karun
dil-ruba ho kar karo tum jab ye ulfat mere sath
shakl teri samne aankhon ke hai aaThon-pahar
yaad teri hai sharik-e-ranj-o-rahat mere sath
ban gaya betab dil ek mahsharistan-e-KHayal
KHwab mein jab wo hue sargarm-e-ulfat mere sath
yaad ab bhule se bhi subh-e-watan aati nahin
ho gai manus aisi sham-e-ghurbat mere sath
dil mein dhaDkan lab pe nale chashm-e-tar mein ashk-e-KHun
kya kahun kya kar gai teri mohabbat mere sath
yaad aata hai ye raftar-e-qamar ko dekh kar
sair karta tha yun hi wo mah-talat mere sath
tu hai aur teri nazar mein ek qayamat ka ghurur
main hun aur ek mahshar-e-arman-o-hasrat mere sath
wo to ruKHsat kar ke mujh ko ghar mein ja baiThe magar
yaad un ki dur tak aai thi 'shaukat' mere sath
Ghazal
Jab main roya hun wo roe hain ye ulfat mere sath
Syed Kazim Ali Shaukat Bilgiraamii