jab koi zaKHm ubharta hai kinaron jaisa
dil taDapta hai mera mauj ke dhaaron jaisa
jab koi aks chamakta hai sitaron jaisa
mera qad bhi nazar aata hai minaron jaisa
tere hi dar pe mujhe aa ke sukun milta hai
ek sahaara bhi nahin tere sahaaron jaisa
aaj bhi sab ke dilon pe hai hukumat jis ki
wo chaTai pe bhi lagta hai dularon jaisa
mere hi dam se mahakta hai gulistan phir bhi
sab ki aankhon mein khaTakta hun main KHaron jaisa
ab to sukhe hue patte hi nazar aate hain
mere aangan mein bahut kuchh tha bahaaron jaisa
aaina kaun dikhaega mujhe ai 'dildar'
mere dushman ka bhi bartaw hai yaron jaisa
Ghazal
Jab koi zaKHm ubharta hai kinaron jaisa
Dildar Hashmi