اردو हिंदी
Jab koi tir hawadis ki kaman se aaya | Shaahi Shayari
jab koi tir hawadis ki kaman se aaya

Ghazal

Jab koi tir hawadis ki kaman se aaya

Abbas Rizvi

;

jab koi tir hawadis ki kaman se aaya
naghma ek aur mere mutrib-e-jaan se aaya

ek nazzare ne mere liye aankhen bhejin
dil kisi kargah-e-shisha-giran se aaya

jab bhi is dil ne tere qurb ki daulat chahi
ek saya sa nikal kar rag-e-jaan se aaya

main na Darta tha anasir ki sitam-koshi se
KHauf aaya to bas ek umr-e-rawan se aaya

kya karun KHilat o dastar ki KHwahish ki mujhe
zist karne ka saliqa bhi ziyan se aaya

main to ek KHwab ko aankhon mein liye phirta tha
ye sitara mere pahlu mein kahan se aaya