jab koi rasta nahin hota
kaun mahw-e-dua nahin hota
log zulmat se yun hi nalan hain
roz-e-raushan mein kya nahin hota
TuTe taron ko chhu ke dekha hai
saz-e-dil be-sada nahin hota
har KHushi dil se kyun laga baiThen
kis mein gham ho pata nahin hota
aao mil baiTh lo ghaDi-do-ghaDi
us ghaDi ka pata nahin hota
sard-mehri hamari aadat hai
warna zarre mein kya nahin hota
phir wahi shab wahi tawil safar
KHatm ye silsila nahin hota
Ghazal
Jab koi rasta nahin hota
Amar Singh Figar